Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

mari tarha tum bi jhootay ho

MUJ SA BECHAR KA KHUSH RAHTAY HO.
MARI TARHA TUM BI JHOOTAY HO..
AIK TAHNI PA CHAND TIKAH THA...
MAIN YA SAMJA TUM BAITHAY HO...
UJLAY UJLAY PHOOL KHILAY THAY...
BILKUL JAISAY TUM HANSTAY HO..
TUM TANHA DUNYA SA LAROO GAY...
BACHON SI BATAIN KARTAY HO..

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

rafaqat zindagi bhar ke bhi

Rafaqat Zindagi Bhar Ke Bhi Na Kafi Hai Mohabbat Kay Liye

Mohabbat Ka Sila Do Chaar Pal Tu Ho Nahi Sakta

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

mohabbat jab milti hai tu

Mohabbat Jab Milti Hai Tu

Rang Laati Hai

Jisam Jalta Hai

Roh Kaanp Jati Hai

Esay Main Ak Awaz Aati Hai

Mohabbat Khail Nahi

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

main haara hoon tu is liye

Main Haara Hoon Tu Is Liye

Keh .......

Qdam Say Qdam Tu Mila Liya

Mera Dil Kese Say Mila Nahi . !!!

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

wo aakhri shaam yaad rakhna

Wo Aakhri Shaam Yaad Rakhna

Teri Nighaon Say Jab Main Apni Nigah

Churha Kay Palat Raha Tha

Tu Tum Nay Kuch Bhi Nahi Kaha Tha

Mager

Hawa Main Nami Achanak He Barh Gaii Thi

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

tujh say baat ho

Tujh Say Baat Ho ...

Phir Say Ak Mulakaat Ho ...

Sadiyon Ki Doori ...

Tum Hat Gayee Darmeyaan Say...

Per Ak Pal May ...

Tu Paas Aa Kar

Tanha Kar Geya ...

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

koii wada nahi hum main

Koii Wada Nahi Hum Main

Na Aapas Main Boht Batein

Na Milnay Main Boht Shokhii

Na Aakhir Shab Manajatay

Mager Ak An-Kahi See Hai

Jo Hum Dono Samjhtay Hain

Ye Saray Dil-Ruba Manzer

Tilieesme Chandni Ratein

Ye Halkay Sukh Ki Bersatay

Sab He Ak Zid Main Rehtay Hain

Mujhay Payham Ye Kehtay Hain



Mohabbat Yoon Nahi Achi
Mohabbat Yoon Nahi Achi

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

is say pehlay keh yeh

~ Barish Poetry ~

Is Say Pehlay Keh Yeh

Sawan Ke Jhari Tham Jaye

Jitnay Iqraar Kay Alfaaz Hain

Keh Do Mujh Say

Bheegtay Peir Hain, Main Hoon, Tum Ho

Is Barastay Badal Ke Tarah

Lafz Ager Murr Kay Bhi Na Aye Tu Kia

Bheegtay Peir Kisay Ja Kar

Gawahi Dain Gaye

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

badal ban kar wo chahta hai

Badal Ban Kar Wo Chahta Hai

Koyal Ban Kar Wo Gaata Hai

Mousam Ban Kar Lehrata Hai

Har Ak Rang Main Muskata Hai

Pyaar Jo Hadd Say Guzar Jata Hai

Har Ak Shay Main Nazar Aata Hai

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

ak muddat

Ak Muddat Say Meri Soch Ka Mehwar Tu Hai
Ak Muddat Say Meri Zaat May Tu Hai

Main Khara Hoon Teray Pyaar Kay Sahil per Tanha
Meri Chahatoon Ka Samandar Tu Hai

Tu Basa Hay Meray Dil Main, Meray Mann Main Tu Hai
Tujhay Andaza Nahi Hai Meri Sari Kainaat Tu Hai

Main Hoon Adhora Meri Jaan Hai Tu
Fakhar Hai Jin Dosto Pay Un Main Say Ak Tu Hai

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

darta huin kahin main

Darta huin kahin main pagal na ban gaoin,
teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban gaoin,
ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
chali ja meri nazro se door kahin main shayar na ban jaoin

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

bikhar jaayegaa

vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa

vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai
ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaayegaa

aaKhirash vo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

faisalaa sirf havaa karatii ha

terii Khushbuu kaa pataa karatii hai

terii Khushbuu kaa pataa karatii hai
mujh pe ehasaan havaa karatii hai

shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa karatii hai

dil ko us raah pe chalanaa hii nahii.n
jo mujhe tujh se judaa karatii hai

zindagii merii thii lekin ab to
tere kahane me.n rahaa karatii hai

us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
dil kaa ehavaal kahaa karatii hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
ret par naam likhaa karatii hai

shaam pa.Date hii kisii shaKhs kii yaad
kuuchaa-e-jaa.N me.n sadaa karatii hai

mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
haal jo teraa ana??? karatii hai

dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
baat kuchh aur huaa karatii hai

abr barase to inaayat us kii
shaaKh to sirf duaa karatii hai

masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
faisalaa sirf havaa karatii hai

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

sabz maddham roshanii men sur

sabz maddham roshanii me.n surKh aa.Nchal kii dhanak
sard kamare me.n machalatii garm saa.Nso.n kii mahak

baazuuo.n ke sakht halqe me.n ko_ii naazuk badan
silvaTe.n malabuus par aa.Nchal bhii kuchh Dhalakaa huaa

garmii-e-ruKhsaar se dahakii hu_ii Thaa.nDii havaa
narm zulfo.n se mulaayam u.Ngaliyo.n kii chhe.D chhaa.D

surKh ho.nTho.n par sharaarat ke kisii lamhe.n kaa aks
reshamii baaho.n me.n chuu.Dii kii kabhii maddham dhanak

sharmagii.n lahajo.n me.n dhiire se kabhii chaahat kii baat
do dilo.n kii dha.Dakano.n me.n guu.Njatii thii ek sadaa

kaa.Npate ho.nTho.n pe thii allaah se sirf ek duaa
kaash ye lamhe Thahar jaaye.n Thahar jaaye.n zaraa

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook