yeh kaisi

Yeh kaisi khwaish hai.
Dil mey chayyii bekaraari si,
Yeh kaisi khwaish hai.
Khamosh, Gumsum, Udaas si,
Yeh kaisi shaam aayi hai.
Badle hue khayaalat hai magar,
Phir wohi tanhaai hai.
Aawaara, banjaara, anjaana sa,
Yeh safar bhi saudaii hai,
Dil dein hum ya Jaan de dein,
Har haal mey ruswaaii hai.

Stumble Delicious Technorati Twitter Facebook

0 comments: